Prem ka Intekal

Uski nazrein to kahin aur hai
Ab hamara dard unko kya dikhega
Mar bhi jayein hum agar
Kafan bhi na odhane vo ayega
Chalo ab ye gum bhi seh lete hain
Zindagi ko vida kar chalte hai

In aankhon ne dekha hai
Tadap teri us insaan ke liye
Kar nahi paaya mai kuchh teri qasam
Dil ke haathon majboor the kiye
Chale jaana chahtey they tumse door is kadar
Ke nafrat me tum dekh , mujhe yaad na karo
Kambhakkt yadein itni taazi hain aaj
Tere har ghav ki,
Pyaar me bas pagal hun,rahunga.

Mit jaun aaj mai is qadar is dunuya se
Koi hai nahi mera tere siva
Tujhe to chahiye us bewafa ka saath
Meraa pyaar kahaaan padega poora

Faaslon ne mujhe har waqt tadpaaya
Khush rehna tum oh meri jaan
Teri yaadon me manzoor nahi rona
Mil jaaon mai mitti me, qabar ho ya masaan

Comments

Popular posts from this blog

In Pursuit of Happiness

The Confidant